Akbar padhne ko dhundh rahe the,
gusse se ve laal hue,
chillate hue bole sabse,
kaha gaya mera chashma...
Dheeli chaal, hath main lakuti,
bazar ka moana karne nikle,
pehen k apna chasma...
jab b babuji zor se hilte,
dhdam se gir jata vo zameen pe,
phuk mar k, saaf karke,
naak pe tika dete the vo'
chehre ka vo ek bhav tha jaise,
unka aur haasya ka ek karan,
babuji ko pyara jaan se
unka vo purana chashma...
Banavat aisi hassi a jaye,
tedha medha sa, saha sab mausam,
babuji na badlte the aur
na badle the vo aankh k moti,
rehte te sab haste uspar
jisko sab chahte the kasna,
aisa tha vo babuji ka chashma...
Hasi ki kilkarian nikalti thi,
mohalle main sab unpe
chahte the mano hasna.
Bacho k pyare babuji
hath main meethi goli pakaad k
bade pyar se milte sabse,
dukh tha thoda unko jaise,
rehte the akele vo par
sath nibahata hardam chashma...
Subah mano sab babuji ko dhundthe,
aur dhundhte the unka dheela chashma,
us din kuch na hua aisa,
mile na babuji na mila unka
chashma.
Sab unpe hasna chahte the par...
[[O bhai sab zyada dimag mat lgao]]
babuji ne lens lgwa liye hai ab,
ab na hoga hasna...
Dhinchak nikalte hai babuji ab,
muh pe muskaan hilate chadi,
jo b chidhate the babuji ko,
dekh k dang aj, hath jod k,
raam ram karte,
babuji aj unpe haste'
Dekho movies ki gaaj,
aj babuji pe kaise padi...
Hatta k chasma badli chadi,
babuji ki to nikal padi...